Beetey pal


Surkh panno per,

lal syahi Ki likhawat

Chand khushiyan,

Naye sapno Ki chahat

Ankahi baatein,

Chhupe armano Ki Aahat

Unki muhabbat,

Woh dabi Muskurahat

Woh nazarien,

un nazaron ki hichkichahat

Beetey afsaano mein

chand alfazo ki taravaat

tum kya samjhoge ?